Ibaadat nahi haj-tirath ka naam,
Ibaadat nahi kalma-mantra ka naam,
Ibaadat nahi roza-upvaas ka naam,
Ibaadat nahi namaz-puja ka naam.
Agar karna hai tujhe ibaadat apne khuda ka -
ek bhookhe ko khana khila,
ek nange ko kapde pehna,
ek unpadh ko taalim dila,
ek dukhiyaare ko gale laga,
ek pidhit ko insaaf dila,
aur har insaan se pyar badha.
Ibaadat nahi kalma-mantra ka naam,
Ibaadat nahi roza-upvaas ka naam,
Ibaadat nahi namaz-puja ka naam.
Agar karna hai tujhe ibaadat apne khuda ka -
ek bhookhe ko khana khila,
ek nange ko kapde pehna,
ek unpadh ko taalim dila,
ek dukhiyaare ko gale laga,
ek pidhit ko insaaf dila,
aur har insaan se pyar badha.
No comments:
Post a Comment